Zamaane Mein Azi Aise Kai Naadan Hote Hain

Zamaane Mein Azi Aise Kai Naadan Hote Hain
Wahan Le Jate Hain Kashti Jahaan Tufan Hote Hain

Sama Ki Bazm Mein Aakar Ye Deewane Samajhte Hain
Yahin Par Umr Gujregi Ye Parwaane Samajhte Hain

Magar Ek Raat Ke Ye To Fakat Mehmaan Hote Hain
Mohabbat Sabki Mehfil Mein Sama Bankar Nahin Jalti

Haseeno Ki Nazar Sabpar Chhuri Bankar Nahin Chalti
Jo Hain Taqdeer Wale Bass Wahi Kurbaan Hote Hain

Lagakar Aag Dil Mein Tamaasha Dekhne Waalon
Dubokar Dur Saahil Se Nazara Dekhne Waalon
Tamaash Aap Bante Hain To Kyun Hairaan Hote Hain

Share

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *