Yeh Nahi Ki Main Inquilaab Ka Haamil Nahin
Yeh Nahi Ki Meray Falsufay Main Wahdut Shamil Nahi
Magar Daitee Hai Taareekh Yeh Talkh Sabaq Mujhko
Ki Hujoom Kisi Daur Main Bhi Banaiga Kaamil Nahin
Na Umeed Kar Ki Badal Jaigee Duniya
Na Farebon Main Guzar Ki Sanwar Jaigi Duniya
Inquilaab Aayay Kitnay Maseeha Gaayay Kitnay
Tammdun Nay Qadam Aagaay Magar Baraaayay Kitnay?
Hazaaron Saal Pehlay Tathagat Ko Jo Fikr Sataati Thi
Wahi Hazrat-O-Nanak Kay Afkaar Main Aatee Thi
Kal Tha Zehn Par Taari Jo Swaal
Aaj Bhi Zakhm Sa Risay Hai Woh Khyaal
Woh Inquilaab Ki Baatain Woh Sunhalay Fardaa Kay Khwaab
Woh Paighmbaron Ki Aarzoo Masihoon Ka Intzaar
Jismayn Imroz-O-Khud Kay Imkaan Say Ho Parhaiz
Woh Meray Liyay Sub Falsphay Hain Bekaar