Sone Ki Chiriya Mera Desh Kehlaya Tha Kabhi

Sone Ki Chiriya Mera Desh Kehlaya Tha Kabhi
Satrangi Pankho Se Aasman Jagmagaya Tha Kabhi

Manzil Ki Umeed Me Bhatakta Raha Shakho Per
Anginat Darakhto Pe Basera Banaya Tha Kabhi

Gharonde Tootne Lagey Jurmo Ke Aaftaab Se Ab
Kitni Kurbaniyon Se Gulshan Ko Sajaya Tha Kabhi

Goonjtey Hain Wadiyon Me Ab Shor Bandookon Ke
Yun To Jheelon Me Khushnuma Ashiyan Banaya Tha Kabhi

Bebas Cheekhon Me Dab Jati Hain Tamannaye Kitni
Unhi Labo Ne Chahat Ka Nagma Gungunaya Tha Kabhi

Mazhab Ke Numayinde Saja Baithey Hain Kanoono Ki Dukan
Jinke Her Derd Me Humne Seeney Se Lagaya Tha Kabhi

Azadi Ki Keemat Ki Barhti Rahi Din-B-Din Boli Sona
Jinki Neelami Me Hazaro Saron Ko Katwaya Tha Kabhi

Share

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *