Shayari E Watan

Jo kr gayi paidaa tume us kokh

Jo kr gayi paidaa tume us kokh kaa ehsaan hai
In sab sainikon ke rkt se aabaad hamara hindustaan hai
tilk kiya mayra fir mastk ko chuma fir boli ye lo kafan
tumhara
main maa hun tumari pr baad me, phle beta vatan hai ye
tumara

dahnay hu main maiya mayri tumhaari is bhent me balidan me

jhuk gayaa hai desh uske dudh ke smmaan men
de diyaa hai laal jisne putr moh chodekr
kaahtaa hun aansuon se paanv vo pkhaar dun
e shhid ki maan aa teri main aarti utaar lun

By … do pal vishu arora ke sath

Sab veer chale hai dekho larne

Sab veer chale hai dekho larne,

Dusman se sarhad per bhidene

“tirnga” hamara bare shan se lahrata,
shubhaashish de bhartmata
josh se sine lage hai hamare fulne,

ye kadam lage hai aage chalne

Hum apno se le rahe vidai,

maa ki chati hai bher aai
sahhid ho jana pr na pith dikhana,

bharat maa ki laj bachana

hukam yha ka maa hai krti,

in bato ki kurbani se nahi darti
hum dono hi krte hai kurbaan,

maa mamta ko jan ko javan
is ley to kahte hai mera bharat mahan,

hum sab ka pyara hindustan.

By … anjan

Dehal Utthi Insaniyat Jab Koi Insaa Gaya

Dehal Utthi Insaniyat Jab Koi Insaa Gaya,
Aman Gaya Azadi Gai Or Kisi Ka Kaya Gaya

Moot Bantnay Walo Tum Bhee Ro Dogay,
Jis Din Tumhe Ghar Se Jab Koi Apna Gaya

Siyasat Kay Khel Main Mohry Hain Hum Tum,
Yeh Khel Har Baar Hamari Zindagi Say Khela Gaya

Aag Say Aag Bhujhany Walo Kush To Hosh Karo,
Nafrat Kam Hogi Kaise Gar Is Main Nafrat Ko Dala Gaya

Hamari Khamoshi Ko Kamzori Samjhnay Walo,
Tumko Rah Na Milaygi Jis Din Humko Gussa Aa Gaya

Aao Tum Bhee Laut Aao Wapis Aman Ki Dunia Main,
Wo Bhula Bhula Nahi Rehta Jo Wapis Ghar Aa Gaya

‘Veer’ Jio Oro Ko Jeenay Do Har Mazhab Sikhata Hai,
Karkay Pyar Sab Say Yeh Raaz Samajh Main Aa Gaya

Julam Dekh Roti Hai Ankhein

Julam Dekh Roti Hai Ankhein
Julami Ko Koi Bhonke Salakhe

Pikar Gum Deti Hai Khusiya
Path Dikhlati Hai Ye Ankhiya

Nahi Hoti Hai Nirdayi Ankhein
Duje Pe Roti Hai Ankhein

Miti Ke Putle Sang Jab Tak Hai Ye Sanse
Sanso Ka Yaar Bani Hai Ye Meri Ankkhein

Tut Jaye Jab Miti Ka Putla
Ruk Jaye Jab Prano Ka Masla

Nikal Lena Tum Meri Ankhein
Kisi Yaar Ko De Dena Ye Meri Ankhein

Mai Mar Jao Kabhi Ye Gum Nahi
Na Mare Kabhi Ye Meri Ankhein

Mai Jal Jao Kabhi Ye Gum Nahi
Na Jale Kabhi Ye Meri Ankhein

Kabhi Kisi Pe Na Kare
Julam Ye Meri Ankhein

Aanch Jo Aaye Bharat Maa Pe
Samander Ban Jaye Ye Meri Ankhein

Kaesi Aayi Hai Aazadi

Kaesi Aayi Hai Aazadi
Kaesi Aayi Hai Aazadi
Rishwat Khadi Hai Phun Ko Kadhae
Chodi , Dakaeti Hai Din Dhaardae
Ghurbat Baethi ,Munh Ko Phaardae

Kaam Na Aayae , Koii Aadae
Saara Aalam Hai Feryaadi
Roata Hai Ae Dil Aazurda
Kab Paayaengae Aman Ka Muxda
Leader Ka Kab Faash Ho Parda

Aankhaen Paayaega Kiya Andha
Gali,Gali,Sheher Sheher Munaadi
Duniya Ka Dastur Na Badla
Kal Ka Wo Mazdur Na Badla
Dhan Daulat Ka Zoar Na Badla

Dhoom Dhardaka Shoar Na Badla
Bardhti Jaayae Hai Aabaadi
Kal Thae Haavi Hum Pae Firangi
Ab Hain Dushman Saathi Sangii
Duniya Ka Maahoal Hai Jungi

Sab Kae Chehrae Hain Do-Rangii
Under Tissue,Uper Khaadi
Her Dafter Kae Aagae Bheerd
Koi Faateh,Koi Dhaer
Koi Bili, Koi Shaer

Koi Manaayae Kab Tak Khaer
Sab Ko Khaayaegii Aazaadi
Kucha,Kucha,Naara Baazi
Sab Kii Fitrat Ghapla Baazi
Bhul Gayae Sab Apna Maaz

Laekae Bhaaga Shaetaan Baazi
Kaesae Ho Khana Aabaadi
Dhoakabaazi Aam Hova Hai
Daesh Ka Ae Anjaam Hova Hai
Izzat Ka Neelaam Hova Hai

Her Subha, Her Shaam Hova Hai
Peecha Kerti Hai Berbaadi
Mehengaayi Nae Sab Ko Khaaya
Jaesa Boeya Waesa Paaya
Ae Kiya Sab Kae Man Ko Bhaaya

Daoraha Ae Kaesa Aaya
Jis Kae Aagae Hai Berbaadi
Achcha Tha Wo Daor Purana
Saeroan Chawel Tha Ek Aana
Kitna Mehenga Ab Hai Khaana

Barbaadi Ka Aaya Zamana
Kehti Hain Ae Maeri Daadi
Raz Bachana Apna Daaman
Girnae Ko Hai Koii Khirman

Ghar Ghar Main Hai Koi Raawan
Aag Lagajayae Na Saawan
Jal Na Jaayae Man Ki Waadi
Kaesi Aayee Hai Aazaadi

Hum Laye Hain Tufaan Se Kishti Nikal Ke

Hum Laye Hain Tufaan Se Kishti Nikal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke
Tum Hi Bhavishhya Ho Mere Bharat Vishal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke

Dekho Kaheen Barbaad Na Hove Ye Bagichaa
Isko Hriday Ke Khuun Se Baapu Ne Hain Sincha
Rakha Hain Ye Chiraag Shaheedo Ne Bal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke

Duneeya Ke Daw Pench Se Rakhna Na Wastaa
Manzeel Tumharee Duur Hain Lamba Hain Rasta
Bhatka Na De Koyee Tumhe Dhoke Mein Dal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke

Atom Bamon Ke Zor Pe Aithhi Hai Ye Duneeya
Baarud Ke Ek Dher Pe Baithhi Hai Ye Duneeya
Tum Harr Qadam Uthaana Zara Dekh Bhal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke

Bharatmata Tum Kal Azad Hui

Bharatmata Tum Kal Azad Hui Thee
Tu Biwi Bhee Hain, Bahan Bhee Hain Aur Dost Bhee Hain

Kisi Muslim Kee Ya Kisi Hindu Kee
Aur Kisi Esai Kee Ya Kisi Sikh Aur Baudh Kee

Tune Is Azadi Ko Pane Ke Liye Kya Kuch Nahi Kiya
Kitne Sitam Zhele Honge To Kitne Dard Sahe Honge

Lekin Mere Dilme Yeh Sawal Kyu Bar Bar Mandhrata Hain
Kal Tum Azad Hui Thi Ya Tune Unhe Azad Kiya Tha
Jiska Jawab Kal Bhii Nahi Mila Aur Aaj Bhii Nahi Milta

Hai Hamein Apne Jaan Se Bhi Badhkar

Hai Hamein Apne Jaan Se Bhi Badhkar
Ye Hindustaan Hamara
Ye Pyara Sa Aashiyaana
Ye Gulsitaan Hamara

Dil Mein Yu To Badi Khushi Hai
Aankho Mein Hai Fir Bhi Aansu
Wo Guzara Hua Zamana
Wo Sahido Ka Fasana

Khaaye The Jinhone
Apne Seene Pe Hazaro Zakham
Unko Yaad Kar K Aaj Fir
Main Bhoola Muskurana

Aazaadi Hamein Dilaayi
Dilaya Hamein Hindustan Hamara
Ye Pyaara Sa Aashiyana
Ye Gulsitaan Hamara

Hoti Hai Din Ki Suruaat Yaha
Mandir Aur Masjido Se
Wo Azaan Ki Aawaze
Wo Ghantiyo Ki Gunje

Lagti Hai Badi Meethi-2
Jaise Ho Koi Pyar Ka Taranaa
Uthte Hai Haath Yaha Ibaadat Ko
Ya Dushmano K Aage

Hai Ye Mere Vatan Ka Fasana
Hindu Aur Muslim Hai
Phool Ish Jahaan K
Ye Pyaara Sa Aashiyana

Ye Gulsitaan Hamara
Ye Hai Kurbaaniyo Ki Bhoomi

Khun Se Sincha Hai Ise Sahido Ne
Aati Hai Is Ki Mitti Se Saundi-2 Khushboo

Yuhi Mehakta Rahe Chaman Sada Ye Hamara
Ye Pyaara Sa Aashiyana
Ye Gulsitaan Hamara