Patriotic Shayari

Taamiir-e-vatan

ek TuuTii huii za.njiir kii fariyaad hai.n ham
aur duniyaa ye samajhatii hai ke aazaad hai.n ham

kyo.n hame.n log samajhate hai.n yahaa.N paradesii
ik muddat se isii shahar me.n aabaad hai.n ham

kaahe kaa tark-e-vatan kaahe kii hijaarat baabaa
isii dhartii kii isii desh kii aulaad hai.n ham

ham bhii taamiir-e-vatan me.n hai.n baraabar ke shariik
dar-o-diivaar agar tum ho to buniyaad hai.n ham

taamiir–To Construct

ham ko is daur-e-taraqqii ne diyaa kyaa “Meraj”
kal bhii barbaad the aur aaj bhii barbaad hai.n ham

Himmat E Hausla

Aandhiyon me bhi jaise kuch chirag jala kartey hai,
Utni hi himmat e hausla hum bhi rakha kartey hai,
Manzilon abhi aur dur hai hamari Manzil,
Chaand sitarey to raahon me mila kartey hai.