Occassion Poetry

 

Jamane Ki Rangeeniyaa.N

Jamane Ki Rangeeniyaa.N Ab Yuin Rehne Do Yaaro
Is Duniaa Ko Ab Mujhe Albidaa Kahne Do Yaaro.N

Apne Naseeb Main Pyar Kaha.N Rakha Hai Yaro.N
Ye Pyar Mohbbat Ki Bate.N Ab Rahne Do Yaaro.N

Apni To Jindgi Me.N Jagne Ke Sibaa Kuch Na Likha
Wo Sote Hai.N To Unhe Chain Se Sone Do Yaro.N

Taa-Umra Unkii Aankho.N Me.N Pyaar Doondte Rahe
Aaj Bhii Sirf Nafrat,_bas,_ Ab Sahne Do Yaro.N

Huaa Na Hasil Kuch Bhii Apne Dosto.N Se Yahaa.N
Dusmano.N Se Bhii Gale Mujhe Milne Do Yaro.N

Holii Kii Lapto.N Me.N Mujhe Apni Chita Nazar Aatii Hai
Chhodo Kafan Ki Baate.N dilip Ko Chain Se Jalne Do Yaro.N

Sadiyo.N Se Jalate Aaye

Sadiyo.N Se Jalate Aaye Ho Lakdiyon Ki Holii
Abki Holii Main Nafrato.N Ko Bhii Jalaya Jaye

Jinke Aangan Main Kabhii Rang Bares Hii Nahi
Unke Chehron Per Bhii Aaj Rang Lagaya Jaye

Yaad Rahe Ye Holii Taa – Umar Is Duniyaa Ko
Paat Koi Bhaichare Ka Inko Aaj Padaya Jaye

Sharab Paani Me.N Milakar To Peete Hain Sabhii
Aansuo.N Main Bhii Sharab Ko Aaj Milaya Jaye

Bahut Gale Laga Chuke Dosto.N Ko Dilip
Aao Aaj Dushmano Ko Bhii Gale Lagaya Jaye

Eid Ka Din Hai

Eid Ka Din Hai, Gulaaboun Sey Khiley Hain Cheyhrey
Zaraa-See Laalee Shafaq Ki Usey Laa Dogey Na

Jis Key Cheyhrey Pai Aaj Bhi Hai Gamoun Ki Zardee
Jis Key Beytey Ko, Kiyaa Hai Supurd-E-Khak Abhi

Jis Key Beytey Ney Kiyaa Thaa Koyi Gunaah Naheen
Jis Ko Mazhab Key Naam Par Kiyaa Gayaa Hai Qatl

Eid Key Waasitey Saamaan Gayaa Thaa Leyney
Raastey Mein Milaa Thaa Jis Ko Mout Kaa Saamaan

Chhorh Kar Bhaag Gaye They Jisey Shaitaan Wahaan
Bheerh Rahtee Thee Jahaan Roz Beygunaahoun Ki

Koyi Khidmat Mein Thaa Maa Ki, To Koyi Bahinoun Ki
Koyi Bachchoun Key Liye Ley Rahaa Thaa Gubbaarey

Aaiye: Un Ki Eid Mein Bhi, Kareyn Ham Shirkat
Marham-E-Ashk-Jigar, Chaarahgar Laa Dogey Na?

Mera Man Thaa, Khushi Ki Nazm Kahoon

Mera Man Thaa, Khushi Ki Nazm Kahoon, Us Se Miloon
Aur, Yeh Eid, Rahey Yaadgaar-E-Wasl Meyree

Dil Mein Armaan They, Mil Kar, Usey Kuchh Aisaa Doon
Jis Ko Woh, Hashra Tak Lagaa Key Rakhey Seeney Sey

Jis Mein, Meyraa Bhi Khoon-E-Dil Ho Baraabar Shaamil
Magar, Jo Khabar Aaj Surkhiyoun Mein Deykhee Hai

Ab, Us Key Ba’ad Jigar Thaam Key Baithhaa Hoon Mein
Eik Machhlee-See Tarhaptee Huyee Maa Kaa Cheyhrah

Khoon Mein Bheegey Huye Lakht-E-Jigar Kaa Bosah
Baarhaa Leytee Huyee, Gir Rahee Thee Mittee Par

Kaash, Yeh Eid, Zaraa Pahiley Aa Gayee Hotee
Mein Naheen Jaauungaa Milney Key Liye Ab Us Sey

Meyrey Mahboob, Kabhi Aur Miloongaa Tujh Sey
Aaj To, Mein  Usee Mariyam Key Gam Mein Doobaa Hoon

Apne Rang Mein Rang Do Unko

Apne Rang Mein Rang Do Unko, Chehra Jinka Bhata Tumko,
Gulal To 1 Bahana Hai, Unke Karib Jane Ka,

Hum To Kab K Rang Chuke, Jabse Unke Nayan Juke,
Rang, Gulab Aur Prit Ki Holi, Khushi, Mauj Aur Ikrar Ki Holi,

Aaj Saji Rangoli Hai, Rango Mein Semti Holi Hai,
Khushi Mein Dubi Holi Hai, Bura Na Mano Holi Hai.