Nature Shayari

Na chahte hue bhi sab kuch keh

Na chahte hue bhi sab kuch keh jati hai ye ankhein,
Dil ki saari baatain keh deti hai ye ankhein,
In ankhein se kuch chhipa nahi,
Kaun hai jo in ankhein par fida nahi,
Pyar ka sagar hai ye ankhein,
Hamari to jaan hai ye ankhein,
Ghut ghut kar chal rahi thi hamari sansain,
Lab tak aakar reh jati thi dil ki batain,
Bin kuch kahe hi sub kuch samjh gayi ye ankhe,
Kaise keh de ki hamari jaan nahi ye ankhein
,
Ye chanchal shok masti bhari ankhein,
Masoom hai anjaani hai,
Pyar ke bina to yaaro,
Iski duniya hi begani hai.
by Rajan

Ye Mery Ak Gazal Ka Akhri

ye mery ak gazal ka akhri bnd hy.
heron se chjamakti howe syaa reat k zery
lagta hy hum ko shama ye jo har tarf jala
sehra hy muhabt ki young sakeet sa sagar
is sajiry sehra ki aj sahire hy yaar
(arbaby qalam kar diya sehra py shaaz ne
afsana hy ye shaaz ka samjo na kam isy.)

Phir Bahaar Ayi

Lo phir bagh-e-chaman mai bahaar ayi
Phir yeh bahar pholoon par nikhar layi

Har phool ki kismat mai hai khilna phir morjhana
Kal khiza aayi thi, aaj phir bahaar ayi

Wohi zameen hai, wohi aasmaan hai
Magar badla jo mousam, mali ke cehre par moskaan aayi

Pholoon par bhavre phir mandrane lage
Phir rang birangi titliyo ki baraat aayi

Phir parindon ne darakhton par apna aashiyana banaya
Phir kaliyo ke catakhne ki who raat ayi

Deakho baagh mai phir khushi ki leher aayi
Khuda ka shokr hai, ke mali ki mehnat rang layi

Deakho phir bahaar ayi
Deakho phir bahaar aayi

Khushi ka paighaam lai
Husn ki saoghaat layi