Hum Maa Ka Pyar Mom Bana Kar
Lutate Jaa Rahe Hain
Apni Sabhyata Ko Mom Banake
Pighlate Jaa Rahe Hain
Dhoti Ko Humne Phar Phar Kar
Rumaal Kar Diya
Apni Sabhyata Ko Tamacha Mar Mar Kar
Uska Muh Laal Kar Diya
Apni Behudgiyon Ko Naam Diya
Humne Fashion
Are Yahan Logon Ke Paas Khane Ko
Nahi Hai Rashan
Aaj Ladkiyon Ka Sarak Par Chalna
Ho Mushkil Raha Hai
Phir Bhi To Fashion Humare
Samaj Me Khil Raha Hai
Apni Sabhyata Ke Neewon Ko Is Kadar
Se Humne Jo Diya Hila
Par Hume Sirf Auraton Me Julm Aur
Haya Ke Lop Ke Siwa Kya Mila
Main Nahi Kehta Fashion Bura Hai
Par Har Cheez Ki Buri Hai Ati
Par Hum To Kuch Is Kadar Badh Gaye
Ki Apni Hi Ho Gayi Durgati
Fashion Karo Par
Na Hone Do Iski Ati
Kahin Apni Sabhyata Hi
Na Ho Jaye Sati
Kyunki,Husn Humesha
Pardon Me Hi Khilta Hai
Bahar Aane Par Aaj Use
Sirf Tiraskar Milta Hai