Maa Har Pal Tum Saath Ho Mere , Mujh Ko Yeh Ehasas Hai
Aaj Tu Bahut Dur Hai Mujhse , Par Dil Ke Bahut Pass Hai
Tumhari Yaado Ki Woh Amulaye Dharohar
Aaj Bhi Mere Pass Hai
Jindagi Ki Har Jung Ko Jeetne Ke Liye
Apne Sar Par Aaj Bhi Mujhe Mehsus Hota Tera Haath Hai
Kaise Bhul Sakti Hun Maa Main Aapke Haatho Ka Saneh
Jinhone Mooh Mein Mere Dala Tha Pehla Nivala
Lekar Mera Haath Apne Haatho Mein
Duniya Ki Raha Mein Mera Pehla Kadam Tha Jo Dala
Jane Anjane Maaf Kiya Thaa Meri Har Galti Ko
Har Shaarat Ko Hans Ke Bhulaya Thaa
Duniya Ho Jaye Chhaye Kitni Paraee
Par Tumne Mujhe Kabhi Parya Nahi Kiya Tha
Aaj Nahi Ho Tum Jism Se Saath Mere
Par Apni Baato Se , Apni Amulaye Yaadon Se
Tum Har Pal Aaj Bhi Mere Saath Ho
Kyuki Maa Kabhi Khatam Nahi Hoti
Tum Toh Aaj Bhi Har Pal Mere Hi Pass Ho