Kabhi Khayal Hi Nahi Aaya Kee Guzarna Hoga
Har Shakh Ki Tarah Mujh Ko Bhi Marna Hoga
Magar Ye Haqeeqat-E-Duniya
Mujhe Khwaab Main Nazar Ayee Thi
Naa Kisee Ke Samjhane Se Samjha Kabhi
Naa Kisee Kitab Main Nazar Ayee Thi
Apne Hee Sapne Main Khud Kee Kaza Kaa Manzar Dekha
Doston Kee Ankhon Main Ashkon Kaa Samandar Dekha
Main Rooh Kee Manind Wahan Khara Thaa
Aur Mere Samne Mera Bejan Jism Para Thaa
Apnee Hee Fana Par Zaar Zaar Ro Raha Thaa
Kuch Samjh Nahee Aaya Mujhe Kya Ho Raha Thaa
Meree Awaz Meree Hee Deewar Se
Takara Ke Lout Atee Thee
Bebas Rooh Bahut Chhatpatatee Thee
Har Lafz Ke Sath Ashkon Kaa Dariya Bahe Jata Thaa
Baar Baar Rooh Kee Soorat Main(Me) Yahee Kahe Jata Thaa
Maine Jo Geet Tumhe Diye Hain
Meree Tarah In Ko Marne Nahee Dena
Un Ko Kabhee Bewaqt Guzrne Nahee Dena
Meer Khayalon Ko Apne Zehan Main Ghar Dena
Mere Har Adhhore Geet Ko Poora Kar Dena
Par Koyee Meree Awaaz Ko Nahee Chhoo Raha Tha
Meree Awaz Main Khamoshee Rahtee Thee
Kisee Ko Nahee Pata Woh Kya Kahtee Thee
Main Ashkbar Tha Ankh Bheeg Gayee To Sahar Se Pahale Hee Khul Gayee
Meree Maut Kee Har Dhundh Dhul Gayee
Par Rooh Aaj Bhee Wahee Kahtee Hain
Main Naa Bhee Rahoon To Bhee
Mere Geeton Kee Zindgee Mitne Nahee Dena
Ekk Lafz Bhee Chita Main Simatne Nahee Dena
Har Harf Tumahree Zimmedaree Hain
Meree Shayree Ko Shikast Naa Mile Kabhee
Agrche Meree Zindgee Zindgee-O-Kaza Se Haree Hain
Main Bas Likhta Hoon Itana Hee To Mera Hain
Warna Meree Har Ghzal Tumahree Hain
Har Harf Tumahree Zimmedaree Hain