Haadsa Dekha Yeh Pichli Raat Mein

Haadsa Dekha Yeh Pichli Raat Mein
Chand Ghul Kar Bah Gaya Barsat Mein

Qaid Kar Paaye Na Ham Hi Chandni
Kyun Kami Dhundha Kiye Zulmat Mein

Dil Mera Bin Baat Jaata Hai Bikhar
Yun Kami Kuch Bhi Nahin Haalat Mein

Raah-E-Ulfat Mein Hasin Gulshan Bhi The
Kyaa Hua, Chhaale Mile Ifraat Mein

Raah Ki Dushwaariyaan Mat Puuchhiye
Aaiye, Kuch Duur Chaliye Saath Mein

Ab Na Koi Phuul Hamko Diijiye
Bojh Hota Hai Bahut Saugaat Mein

Muskura Dete Hain Unko Dekh Kar
Bas Yahi Kuch Hai Meri Auqaat Mein

Har Khushi Ka Daam Ashqon Se Diya
Kuch Nahin Manga Kabhi Khairaat Mein

Jaane Kya Ahl-E-Khirad Ko Ho Gaya
Dhundhtey Hain Khamiyan Har Baat Mein

Dekh Kar Insaan Ko Lagta Nahin
Kuch Farishtey Bhi Hue Is Zaat Mein

Falsafey Duniya Pe Haavi Ho Gaye
Aa Gayi Lekin Kami Jazbaat Meina

Share

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *