Ethihas Ke Fasanon Main Bharat Ka Ye Ateeth Hai

Ethihas Ke Fasanon Main Bharat Ka Ye Ateeth Hai
Wafa Ki Ismain Haar Hai Jafa Ki Ismain Jeet Hai

Kurbaniyan Shaheedon Ki Jahan Main Jinke Aaj Hai
Sach Hai Unko Gandhi Aur Ehru Ka Hi Naz Hai

Indira Ke Baad Rajeev Ki Mit Gayee Hai Zindagi
Desh Ke Ekta Akhandta Ki Khokhli Awaaz Hai

Aatangwad Ke Taranon Main Maut Ka Sangeet Hai
Wafa Ki Ismain Haar Hai Jafa Ki Ismain Jeet Hai..

Daasta Ke Mare They Sab Angrezon Ke Kaam Main
Aise Kat Rahe They Din Machli Jaise Jaal Main

Aazadi Ke Matwalon Pe Baras Rahi Thi Goliyan
Inkalab Ka Nara De Rahe They Berbadi Ke Haal Main

Yadon Ke Khoon Se Rangi, Gardishon Ki Bheet Hai
Wafa Ki Ismain Haar Hai Jafa Ki Ismain Jeet Hai..

Bhagat Singh Toh Bhagi Tha Goron Ki Jaan Ke Liye
Chandrashekar Mit Gaye Aakhir Main Shaan Ke Liye

Dushman Se Loha Lene Ka Aazaad Hindi Fauz Main
Netaji Subhash Khab Gaye Be-Maut Aan Ke Liye

Likhe Hai Kale Pani Pe Sawarkar Ke Geet Hai
Wafa Ki Ismain Haar Hai Jafa Ki Ismain Jeet Hai..

Ethihas Ke Fasanon Main Bharat Ka Ye Ateet Hai
Wafa Ki Ismain Haar Hai Jafa Ki Ismain Jeet Hai.

Share

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *