Chahe Duniya Wale Jale Aur Jalte Hi Rah Jaaye
Chahe Duniya Wale Jale Aur Jalte Hi Rah Jaaye
Aanshu Teri Aankh Se Kabhi Tapakne Na Paaye
Na Koi Dard Ho Tujhe Na Hi Kabhi Chot Aaye
Mere Hisse Ki Khusiyan Bhi Tumhe Mil Jaaye
Chahe Duniya Wale Jale Aur Jalte Hi Rah Jaaye
Aanshu Teri Aankh Se Kabhi Tapakne Na Paaye
Na Koi Dard Ho Tujhe Na Hi Kabhi Chot Aaye
Mere Hisse Ki Khusiyan Bhi Tumhe Mil Jaaye
Dekhte Hi Unko Meri Nazron Ka Thahar Jaana
Khwab Paane Ke Unko Dil Mein Tamaam Aate Hain
Wo Ada Wo Mizaaj Wo Nazar Ki Had Hi Bas
Tasavvur Bhi Sabhi Mere Unke Naam Aate Hain
Kar Aaye Haal-E-Dil Bayaan Be-Khauf Tabeeyat Se
Ab Dekhte Hain Iske Kya Anjaam Aate Hain
Har Shaqs Be-Sudh Mila Unke Nashe Se Hi
Par Apni Kismat Mein To Khaali Jaam Aate Hain
Le Ke Abhi Armaanon Ko Saath Chalte Hain
Bujhte Chiraag Hain Lekin Safar Mein Kaam Aate Hain
Ho Har Jagah Jiski Shqsiyat Ka Charcha
Wafadaari Ke Us Par Hi Sab Ilzaam Aate Hain
Aaj Mahaul Hai Wo Bhi Hain Hain Hum Bhi Fursat Se
Dekhe Fiza Mein Rang Kya Is Shaam Aate Hain
Judaai Ke Lahze Ko Bhi Dekha Gaya Unme
Jo Milne Ke Unki Or Se Paighaam Aate Hain
Roz Kahna Aaj Unko Bhool Jaayenge Aur
Kar Ke Aankhon Ki Nami Ka Khud Intzaam Aate Hain
Guzaara Ho Kaise Log Kahte Hain Is Mahfil Sajaayi Se
Dekho Tanha Apne Sheron Ke Kya Daam Aate Hain
Agar Janna Chaho Ki Hum Tumhe Kitna Yaad Karte Hai
To Barish Ki Bundo Ko Pakdo
Jitni Tum Pakdoge Utna Tum Yaad Karte Ho
Jitni Tum Chodoge Utna Hum Yaad Karte Hai
Jyun Jyun Waqt Ka Kafila Gujarta Gaya
Tere Mere Darmiyaan Faasla Badhta Gaya
Socha Tha Hoga Kabhi Sapno Se Sundar Aashiana Apna
Manzil Wanhi Rahi Par Shayad Door Reh Gaya Koi Apna
Teri Wafa Ne Mujhe Khud Aur Sitam Karne Na Diya
Jo Aaye Palkon Par Moti Unhe Jharne Na Diya
Maine Samhja Hai Khud Ko Sada Amanat Teri
Isi Khayal Ne Mujh Ko Kabhi Marne Na Diya
Kaash Tum Mere Ho Pate
Meri Baate Samjh Pate
Na Samjh To Tum Thi Nahi
Batane Mai Koi Mere Hi Kami Hogi
Chale Gaye Tum Duur Itne
Tadap Kam Hui Nahi
Sonchta Hum Tumhe Abhi Bhi Mai
Khayal Tumhara Dil Se Jaata Nahi
Kaash Tum Mere Ho Pate
Mere Payar Ko Samajh Pate
Na Kiti Hoti Itne Jaldi
Kaash Mere Ashkon Ko Samjh Pate
Unki Nafrat Ko Bhi Humne Chaha Hai
Woh Hum Par Marte To Na Jane Kya Hota
Wafa K Badle Mili Hai Saza Humko
Agar Hote Hum Bewafa To Rab Jane Kya Hota
Roshani Se Hame Apne Dil Ko Jalana Pada
Dard Sahkar Bhi Muskurana Pada
Aap Log Sada Haste Rahe
Is Liye Hame Aasuwon Ko Chupana Pada
Jo Raaste Mein Chhod De Woh Yaar Nahi Hota
Jo Dil Ko Araam Naa Deh Woh Dildar Nahi Hota
Jo Zakhmi Naa Kar De Woh Vaar Nahi Hota
Aur Jo Dillagi Ki Saaza Naa De Woh Pyar Nahi Hota
Jo Sache Dil Se Ishq Kare Woh Laachar Nahi Hota
Jo Khud Ki Fikar Kare Woh Khuddar Nahi Hota
Jo Lafzoon Ke Roop Mein Naa Nikle Woh Ishaar Nahi Hota
Keh Jo Aap Ka Noor Naa Hota To Yeh Dil Ka Karaar Bhi Nahi Hota
Iibadat Main Koi Kami Si Reh Gayi Hai
Muhabbat Adhori Si Reh Gayi Hai
Palk Bheegi Si Reh Gayi Hai
Ibadat Main Koi Kami Reh Gayi Hai
Tishnigi_lab Mitney Sey Reh Gayi Hai
Muhabbat Iqrar_lub Sey Reh Gayi Hai
Ibadat-E-Ishq Tujh Tak Punchney Sey Reh Gayi Hai
Muhabbat Adhori Si Reh Gayi Hai
Deed Milney Sey Reh Gayi Hai
Woh Lub Siyee Sey Reh Gayi Hai