Dard Bhari Shayari

Jab Tammanna Phool Si Khil Jayagi

Jab Tammanna Phool Si Khil Jayagi
Tab Koi Payari Gazal Ban Jayagi

Ho Bhalayi Ka Tassavoor Zahan Main
Ye Zameen Jannat Tabhi Ban Payagi

Khushbuain Ho Jab Fiza Main Payar Ki
Her Kali Phir Phool Ban Khil Jayagi

Aankh Se Annsu Uthaker Pijiye
Phir Dilo Ki Durian Mit Jayagi

Apne Derwaze Se Kundi Khol De
Padosion Ki Khidkiyan Khul Jayagi

Gair Ke Gam Ko Tu Apna Jaan Le
Khak-A Dunia Main Bahar Aa Jayagi

Ab Tak To The Hum Tanha

Ab Tak To The Hum Tanha
Na Thi Humare Upper Kisi Ki Panah

Ab To Hai  Yahi Ghar Humara
Kisi Kaam Mein Nahi Lagta Dil Bechara

Is Ko Samjhate Samjhate Main To Gaya Mara
Karte Hai Hum Pyar Unse Be Sheq
Lakin Karte Hai Wo Pyar Kisi Or Se Bahut

Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko

Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aetbaar Ho Jaata Hai
Ajnabi Koi Shaks Aksar Yaar Ho Jaata Hai

Khoobiyo Se Hi Nahi Hoti Mohhabat
Khamiyo Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jaata Hai

Palko Ki Nami Me Chupa Kar Sapno Ko
Humne Unhe Jaane Ki Izazat De Di

Hum Toot Kar Bikhar Gaye Tukdo Mein
Unhe Muskarane Ki Izazat De Di

Dhoondhta Hoon To Milti Nahin Hain

Dhoondhta Hoon To Milti Nahin Hain Khushiyaan Zindagi Mein Khawab Si Lagti Hain Khushiyaan

Gham Ne Is Kadar ‘Faqeer’ Par Ghera Daala Hai Koi Mausam Ho Aati Nahin Hain Khushiyaan

Tum Daaman Jo Apna Humse Chhudakar Chale Gaye Bhatakta Hoon Dar Badar Milti Nahin Hain Khushiyaan

Koi Hoga Jo Mere Halaat Se Ittefaq Rakhta Hoga Dekhta Hoon To Har Taraf Dikhti Hain Khushiyaan

Kya Shikwa Gila Karein Ae Khuda Zindagi Se Haathon Se Ret Ki Tarah Choot Jaati Hain Khushiyaan

A Mere Pyare Dost

A Mere Pyare Dost
Dil-O-Jaan Se Aapko Salam Karta Hu

Aapni Har Dua Mein Aapki Salamati Mangta Hu
Wo Baqt Chalo Ahi Gaya

Chaliye Ek Bhatke Hue Rahi Ka Kahani Batata Hu
Jindagi Uski Shikayoto Se Bhari

Sirf Rona Hi Hai Us Namakul Ki Taqdir
Nasib Uski Khote Sikkhe Ki Jaisi

Ajeeb Uski Pehechan Ajeeb Uski Dastaan
Sab Kuch Hai Uske Paas

Fir Vi Najane Wo Khud Ko Kyou Pata Hai Akela
Ghutan Bhari Khandaro Mein Dafna Di Aapni Saari Hasratein

Meherum Hai Wo Har Khushi Se
Dard Aur Thokre Khana Hai Uski Pehechaan

Dhundta Firta Har Manzar Har Safar
Kahi Kisi Se Wo Kar Sake Fariyaad Par Wo Hai Har Kisi Se Anjaan

Jane Unjane Ristein Usse Nata Jorna Chahata Hai
Par Najane Wo Kyou In Cheezo Se Bhagta Hai

Kya Dhundta Hai Wo Dar Ba Dar
Kyou Wo Nakhush Hai Aapni Hasti Se

Jab Bhi Main Ea Soochta Hu
Jindagi K Aaine Mein Aapna Chehera Dekhta Hu

Dekhte Hi Unko Meri Nazron Ka Thahar Jaana

Dekhte Hi Unko Meri Nazron Ka Thahar Jaana
Khwab Paane Ke Unko Dil Mein Tamaam Aate Hain

Wo Ada Wo Mizaaj Wo Nazar Ki Had Hi Bas
Tasavvur Bhi Sabhi Mere Unke Naam Aate Hain

Kar Aaye Haal-E-Dil Bayaan Be-Khauf Tabeeyat Se
Ab Dekhte Hain Iske Kya Anjaam Aate Hain

Har Shaqs Be-Sudh Mila Unke Nashe Se Hi
Par Apni Kismat Mein To Khaali Jaam Aate Hain

Le Ke Abhi Armaanon Ko Saath Chalte Hain
Bujhte Chiraag Hain Lekin Safar Mein Kaam Aate Hain

Ho Har Jagah Jiski Shqsiyat Ka Charcha
Wafadaari Ke Us Par Hi Sab Ilzaam Aate Hain

Aaj Mahaul Hai Wo Bhi Hain Hain Hum Bhi Fursat Se
Dekhe Fiza Mein Rang Kya Is Shaam Aate Hain

Judaai Ke Lahze Ko Bhi Dekha Gaya Unme
Jo Milne Ke Unki Or Se Paighaam Aate Hain

Roz Kahna Aaj Unko Bhool Jaayenge Aur
Kar Ke Aankhon Ki Nami Ka Khud Intzaam Aate Hain

Guzaara Ho Kaise Log Kahte Hain Is Mahfil Sajaayi Se
Dekho ‘Tanha’ Apne Sheron Ke Kya Daam Aate Hain

Tere Sang Guzare Pal

Tere Sang Guzare Pal Haseen Yaadein Ban Gaye
Bewafa Tu Zindagi Mein Gham Jyaade Ban Gaye

Dar Par Baithkar Saanjh Sawere Teri Raah Takte Rahe
Pal Pal Jaise Sadiyaan Beeti Hum Jeete Rahe Marte Rahe

Tum Na Aaye Woh Kasmein Jhoote Waade Ban Gaye
Pyaar Mohabbat Ishq Wafa Kasmein Nahin Hain Nibhane Ki

Jab Rulana Hi Tha Humein Kya Zaroorat Thi Hasane Ki
Sangdil Sanam Hum To Jaise Tere Pyaade Ban Gaye

Zindagi Mein Ab Humko Tanha Tanhai Mein Jeena Hai
Kuchh Bhi Na Haasil Hua Ghoot Ruswai Ka Peena Hai
Karenge Na Kisi Pe Aitbaar Sachche Iraade Ban Gaye