Baharon Ka Darbaar Jor Se Bol Yahan

Baharon Ka Darbaar Jor Se Bol Yahan
Mimiya Mat, Hunkaar, Jor Se Bol Yahan

Inke Kaan Nivedan Nahi Suna Karte
Sunte Hai Lalkaar, Jor Se Bol Yahan

Oonche Bolon Ka Hi Arth Samajte Hai
Eh Bigde Batkaar, Jor Se Bol Yahan

Apni Jai Ke Nare Hi Sunte Aaye
Suna Inke Fatkaar, Jor Se Bol Yahan

Satte Ke Kano Main Rehta Thel Pada
Kam Sunti Makkar, Jor Se Bol Yahan

Yahan Cheen Ker Lena Padta Apna Haq
Hakeem Se Haqdaar, Jor Se Bol Yahan

Adalati Jhapad Kha Jati Hai Verna
Soti Hai Serkaar, Jor Se Bol Yahan

Unke Raniwason Tak Kaise Pahunchegi
Jann Ki Cheek Pukaar, Jor Se Bol Yahan

Chup Ker De Apni Bolon Se Tum Inke
Muh Per Tanke Maar, Jor Se Biol Yahan

Tum Pehli Awaaz Uta Toh Koras Main
Gayenge Sab Yaar, Jor Se Bol Yahan

Unko Bhi Darr Hai Ki Baha Le Jayega
Jan-Aakrosh Ka Jwaar, Jor Se Bol Yahan

Share

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *