Badal Leti Hai Hawa Bhi Apana Rukh
Jab Waqt Ke Saaye Apni Chaal Badal Lete Hain
Kuch Yaade Hain Gujare Lamho Ki Saath Mere
Hum Unse Baate Karke Yun Hi Behak Lete Hain
Tapte Registhan Sa Hai Yeh Zindagi Ka Safar
Aankho Ki Nami Se Is Ki Khushk Haawo Ko Nam Kar Lete Hain
Kis Qader Hai Tufaan Ke Nishaan Hain Abhi Baaki
Aap Kahe Toh Hum Yeh Zakham Apne Daaman Se Dhak Lete Hain
Kabhi Chala Karte They Mere Saath Saath Mere Hamsafar Ban Ke
Aaj Wahi Raste Mujhe Dekh Ke Manzil Badal Liya Karte Hain