Bachpan Ke Din Khuch Aise Hote Hain
Bachpann Kay Dukh Kitne Ache Hote The
Tub To Sirf Khilone Toota Karte The
Woh Khushiyaan Jaane Kaisi Khushiaan Thi
Titli Kay Parr Noch Kar Uchlaa Karte The
Maar Kar Paaon Jo Baarish May
Apni Naon Khud Aap Daboya Karte The
Sochte Hay To Chaut Si Dil Par Pardti Hay
Aap Banane Aap Gharaunde Toda Karte The
Aapne Jall Jaane Ka Kuch Ehsaas Naa Tha
Jaalte Hue Sholon Ko Cherda Karte The
Khushbo Kay Urdte Hi Kyon Murjhaate Hay Phool
Kithe Bholepann Say Pucha Karte The
Aaj Inki Tabeerein Aur Rulati Hay
Bachpann May Hum Jo Saapne Dekha Karte The
Ab To Ansoo Ka Eik Katrah Bhi Ruswaah Kar Jaata Hay
Bachpann May Hum Ji Bharr Kar Roya Karte The