Ak Din Zingai Se Pareshan Mein

Ak Din Zingai Se Pareshan Mein
Aatm Dehan Karne Chali Thi
Rokha Apne Man Ko Maine
Par Ankho Se Ansoon Ki Bohaar Na Rukhi Thi

Kahu Kiya Apne Jazbaat Ko Maine
Sansein Ki Raftaar Phir Bhi Na Ruki Thi
Tutt Chuki Thi Main Puri Tarah
Kismat Ki Talwaar Armaano Pe Chali Thi

Rubaroo Hui Ak Aise Riste Se Phir
Jinke Saath Mein Kheli Padi Thi
Hasaya Unhone Mujhe De Shara dosti Ka
Main Ak Nai Zindagi Se Mili Thi

Zindagi Ki Har Rango Se Vakif Karaya
Har Khushi Di Jo Kabhi Pehle Na Mili Thi
Saath Diya Har Kadam Pe Unhone
Khushiyon Se Phir Meri Jholi Bari Thi

Zindagi Ka Arth Samjaya
Meri Himmat Phir Ak Baar Bandi Thi
Har Hunar Ko Saraya Mere Dosto Ne
Unni Ki Vajah Se Mujhe Ak Nai Zindagi Mili Thi

Share

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *