Aatank Se Hai Bhoomi Aatangith

Aatank Se Hai Bhoomi Aatangith
Hinsa Se Her Mann Hai Bhaiy-Beeth
Bholi Jaano Se Khelne Ka
Hai Diya Kisne Adhikar?
Tu Math Itna Akad Ye Aatangwaad

Kyu Ki

Insaniyat Ghum Hote Hi
Sansaar Nidrasth Ho Jata Hai
Aur Manavta Ke Jaagte Hi
Sansaar Prabhav Pata Hai

Bhale Lagte Ho Hum Alag-Alag
Per Vivid.Dha Hamare Mann Main Nahi
Tujhe Katam Karne Main Hum
Chodenge Koyi Kasar Nahi
Tujhe Ab Is Dharti Per
Jyada Waqt Hai Teherna Nahi
Sacchi Insaniyat Ko Manavta Ko
Cheda Hai, Lalkara Hai Ye Aatangwaad Tune
Dekh Iske Haathon Tera Kya Hashr Hota Hai

Share

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *