Aaj Shaam Ki Kuch Ajab Hi Baat Hai

Aaj Shaam Ki Kuch Ajab Hi Baat Hai
Mere Dil Mein Bhari Maayusi Jo Itni Hain

Dard Hota Hai Labon Par Lafz Laane Ko
Dukhon Ki Yahan Gehraayi Jo Itni Hai

Aansuon Ne Bhi Jaise Nikalna Chhod Diya
Meri Aankhen Ho Gai Paraayi Jo Itni Hain

Kaante Ki Tarah Har Lafz Tumhara Tha Wo
Berehmei Se Baatein Sunaayi Jo Itni Hain

Rona Chaahkar Bhi Ro Nahi Paa Rahi Hoon
Iss Mohobbat Ne Dil Ko Rulayi Jo Itni Hai

Seene Mein Chub Rahi Hain Har Ik Yaad Woh
Tumse Maine Yaadein Churaayi Jo Itni Hain

Iss Akelepan Mein Ghum Ho Gayi Hu Main Kahin
Meri Hi Dosti Mein Shayad Buraayi Jo Itni Hai

Share

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *