Bahaaron Ne Ujaad Aashiyaa.N Banaa Diya

Bahaaron Ne Ujaad Aashiyaa.N Banaa Diya
Baaki Jo Bachaa Tha Maine Khud Jalaa Diya

Ab Na Karenge Koi Shikwaa Tumse Hum
Lo , Humne Armaano Ka Galaa Dabaa Diya

Hasne Lage Na Mere Deewanepan Pe Log
Isliye Maine In Chiraagon Ko Bhujaa Diya

Maine Kiyaa Tha Vaada Unpe Jaan Dene Ka
Unhone Kiya Takaaza,Maine Sar Jhukaa Diya

Dekha Gaya Na Mere Saqi Se Mere Dil Ka Haal
Kambakht Ne Sharaab Mein Zahar Milaa Diya

Youn Karta Hai Maikash Apne Dard Ka Bayaa.N
Udhar Aansu Chhalkaa Idhar Shyer Banaa Diya



Email SMS Shayari Message to Your Friends.

Your Name: 
Your Email:

Friend Name Friend Email Address
1.
2.
3.
Send Me Mail Copy :

Post a Comment


Your Name:*
Your Email:*
Your Comments:*
Security Code:*