Loneliness
BaadbaN khulnay say pehlay ka ishaara dekhna
MaiN samandar dekhti hooN, tum kinara dekhna
YuN bicharna bhi bohat aasaN na tha us say magar
Jatay jatay uska wo mur kar dobara dekhna
Kis shabahat ko liay aaya hay darwazay pay chand
Ay shab-e-hijraN zara apna sitara dekhna
Kia qiamat hay kay jinkay naam par paspaa huway
un hi logoN ko muqabil main saf aara dekhna
Jab banam-e-dil gawahi sar ki mangi jaye gi
Khoon main dooba huwa parcham hamara dekhna
Jeetnay main bhi jahaN ji ka ziaN pehlay say hay
Aisi bazi harnay main kia khasara dekhna
Aainay ki aankh hi kuch kum na thee meray liay
Janay ab kia kia dikhaiy ga tumhara dekhna
Aik Musht-e-khaak aur wo bhi hawa ki zad maiN hay
Zindagi ki baibasi ka isti'aara dekhna...
(14 votes, average: 1.4 out of 5)